
Agar shuru se shuru karu, Toh iss baar
mohabbat kr paaogi kya?
Tumhare pasandeeda gaane sunau, Toh tum meri ho jaogi kya?
Ek shaam chai par tumhe bulau, Toh gulabo se bara guldasta le aaogi kya?
Laal chudiyan lekar tumhe manau, Toh tum unhe pehenkar itaraogi kya?
Kuch baat kehni hai tumse, Toh thodi der ruk jaaogi kya?
Agar shuru se shuru karu, Toh iss baar mohabbat kr paaogi kya?
Agar shuru se shuru karu, Toh Mujhe apni aadat banaogi kya?
Aawaz pasand hai tumhari, Apne pasandida gaane sunaogi kya?
Ek roz dhalta suraj dekhna hai, Char kadam mere sath chal paaogi kya?
Apni hi baton me uljha rehta hu, Kbhi unhe samjhkar suljhaogi kya?
Agar shuru se shuru karu, Toh iss baar mohabbat kr paogi kya?
Agar shuru se shuru Karu Toh tum ruk jaogi kya?
Aadat nahi mujhe kisi ke sath rehne ki, Tum buri aadatein badal paogi kya?
Gusse me kabhi tumhe chale jaane ko bolu Toh tum chhod kar jaogi kya?
Ruth jaata hu choti baaton prr Tum harr baar mana paogi kya?
Agar tumhare samne rone lag jaun, to jin baato se mai chup hota hun , wo baatein keh paaogi kya?
Pyaar to sab karte hai , antim saans tak nibha paaogi kya?
Lafzo me bayan krna nhi aata hai mujhe, Tum aankhon ko dekh kar samjh paaogi kya??
Wese toh aksar chup rehta hoon mai, Par tumhare samne bahut kuchh kehna chahta hoon, tum mujhe baith kar sun paaogi kya??
Agar shuru se shuru Karu to iss baar mohobbat kar paaogi kya?Purnima ke chand me , mere sath khawb bun paaogi kya?Tumhare sath har khwaab ko sach krna hai, tum mera sath nibha paaogi kya??
Agar shuru se shuru Karu to iss baar mohobbat kar paaogi kya?
mujhe tumhe Saree me dekhna pasand hai, mere liye saree pehen paaogi kya?
Bindiya jab lagati ho toh bahut sundar lagti ho, mere liye har roj bindiya lagaogi kya??Diamond ring naa sahi , jhumka dila sakta hun , accept kar paaogi kya?Payal ki awaz bohot pasand hai mujhe ,mere liye payal pehenna chahogi kya?
Suna hai shringar krna bahut pasand hai tumhe, mere liye sholha shringar karogi kya??
Agar shuru se shuru karu, toh iss bar mohobbat kr paaogi kya??
Agar shuru se shuru karu, toh iss bar mohobbat kr paogi kya?Waadein naa hee sahi , efforts laga paaogi kya?
Khud se hi khafa rehta hoon, khafa hone ka karan mita paaogi kya??
Agar shuru se shuru kru, Toh iss bar mohobbat kr paaogi kya??
Hasna pasand hai , hassi ka karan ban paaogi kya?
Thoda na samjh hoon mai, Tum samjha paaogi kya??
Agar shuru se shuru karu, toh iss bar mohobbat kr paaogi kya??
Jalim duniya me , meri sukoon ban paaogi kya?
Bhatkta rehta hoon mai, mera ghar ban paaogi kya??
Bada bechain sa rehta hoon mai, mera chain ban paaogi kya??
Agar shuru se shuru Karu , to iss baar mohobbat kar paaogi kya?Raaste bohot muskil hai , par kaanto se bhare raste me , mera sath nibha paaogi kya?
Logon se ummid bahut kam rakhta hoon mai, Par tum pe rakhna chahta hoon, mera ummid ban paaogi kya??
Dil bhari sa rehta hai , halka karne ke liye kandha de paaogi kya?
Aur....
Agar shuru se shuru Karu , to iss baar mohobbat kar paaogi kya?
Puri duniya ko batana hai ki tum meri ho, sabko batane ke liye mere naam ka sindoor laga paaogi kya??Suna hai budhape me kisi ka sath hona chaiye, meri budhape me meri sathi ban paaogi kya??
Aur....
Agar shuru se shuru Karu , to iss baar mohobbat kar paaogi kya?
Write a comment ...